среда, 31 июля 2019 г.

Drop shipping kya hai Ye kaise kaam karta hai

A complete e-commerce guide in Hindi.

Drop shipping kya hai Ye kaise kaam karta hai
Search This Blog. Drop shipping kya hai ? Ye kaise kaam karta hai ? Drop ship kaise kaam karta hai. Drop shipping me hame ye process follow nahi karna padta hai. Balki order place hone par ham vendor, (Vendor yani jisase ham maal kharidte hain), ko inform karte hai or same product ki order detail use send kar dete hain. Or fir same product Vendor khud hi pack or deliver karta hai. Samajhte hain actually kya hota hai. Mona ko kisi marriage party me jane ke liye dress kharidna hai. Kahin se use apnidukan.in ke baare me pata chalta hai. Mona apnidukan.in se arya-suits ka ek designer suit book karti hai. Ab apnidukan.in actually me ek dropshipper run kar raha hai. Jiske paas khud ki koi inventory nahi hai. Wo Mona ke us order notification ko utha kar supplier arya-suits ko send karta hai. Supplier Order deliver kar deta hai. Supplier, dropshipper or customer ke beech huyi deal ko nahi dekhta, dropshipper, supplier dwara customer ko huyi shipping nahi dekhta or customer ko lagta hai arya-suits us online store me asaani se available hota hai. Uske is kharidari me do companies involve hain yah wo nahi dekh pati. Infact next time Mona ko designer suit kharidna hua to use apnidukan.in or arya-suits do brand yaad honge. Drop ship ke liye product supplier. Drop shipping kyo ? Aisa isliye kyoki ye Tv brand nahi hai, Or samsung brand hai. Bas isiliye aise supplier jo ki apne product ki sell or marketimg badhana chahte hai. Online retailer ko drop shipping ka offer dete hain. Aapko ye article bhi padhne chahiye.
Drop shipping kya hai Ye kaise kaam karta hai
Lekin pura sach ye nahi hai. Ab world ka har manufacturer ya supplier ye jaan chuka hai ki Drop shipping ecommerce ke liye kitna jaruri hai. Kyoki wakt ke sath sab kuch badal rha hai isliye unhe bhi apni policy badalni pad rhi hai. Bade brand ko chhod de to aaj lagbhag har bada maufacturer ya supplier drop ship ke liye taiyar hai. Drop ship partner kya hai. Lekin ab sawal uthta hai ki online store me kayi tarah ke product hote hain or ye jaruri nahi ki hame har wo product, jo hamare store me list ho, kisi ek supplier ya manufacturer se mil jaye, to agar ham business start karna chate hain or bade investment se bachne ke liye drop ship choose karte hain. to Hame aise kitne supplier ya manufacturer se contact karna padega. Iske liye bhi market me bahut si companies hain jo drop shipping partner ka kaam karti hain. In companies ka supplier ya manufacturer se direct contact hota hai. Ye companies hame ek sath lakho product ke drop ship option available karwati hai. To agar aap online store ke liye drop ship chunte hain to ye drop ship partner companies aapke liye best option hai. Drop shipping ke advantage or disadvantage. 1. Advantage ye hai ki Drop shipper kahin bhi baith kar apna business kar sakta hai. Bas ek laptop ya PC ki help se. Disadvantage ye hai ki easy hone ke karan aapka idea koi bhi copy kar sakta hai. Aapke business me competitor ki bheed lag jayegi. 2. Second advantage hai ki isme kaam start karne ke liye barrier bilkul na ke brabar hai. It means rukawate or dikkat kam se kam aati hai. Disadvantage - Ye hamara business jarur hota hai lekin hame customer experience ka exactly pata nahi chalta. Supplier ki taraf se kisi bhi tarah ki gadbadi ke liye customer ko supplier se koi lena dena nahi hota balki jimmedar drop shipper yani ham hote hain. Or iska business me galat effect padta hai. 3.
Drop shipping kya hai Ye kaise kaam karta hai
Advantage- Bahut hi kam investment me business start kar sakte hain. Kyoki aapko kisi tarah ka manufacturing , storing nahi karni so aapko kisi tarah ke matarial, tool ya inventory ki jarurat nahi padti. Disadvantage- Jayada drop shipper ke ecommerce me utarane se competition bahut hi jald tough hone ke chances hain. 4. Advantage- Product quantity rakhne ke liye space ki jaruat nahi pdegi sath me jyada quantity ke liye lagne wali laagat bach jayegi. Disadvantage- Product hamare paas na hone ke karan ham product ki quality dekh ya use nahi kar pate. isliye customer ko kaisa product deliver kiya ja rha hai, iska pata nahi chal pata. 5. Advantage- Supplier ya vendor dropshipping me khud hi packing or shipping karte hain. Isliye drop shipper in kaamo se bhi free ho jate hain. Disadvantage- Shipping par hamara control na hone ke karan supplier apni marji se har product par manmana shipping rate charge karta hai. Shipping Charge jyada hone se customer ko product price jyada lagne lagta hai or sale volume badhne ki jagah niche aane lagta hai. 6. Advantage- Business scale bada hone par aapko jyada poonji ki jarurat nahi hoti. Infact achhi business handling ke karan agar business Large se larger ho rha hai to hame more investment ki tension nahi hogi. Disadvantage- Order fulfillment supplier ke haath me hoga lekin customer support hamara kaam hota hai. Jyada bade business me customer supporting jarurat se jyada difficult ho jata hai. 10 customer ke mukable 50 customer ko product sell karna shayad utna hi easy ho lekin 10 customer ke Mukable 50 ki supporting ( e. g. Order tracking, returning etc )bahut hi muskil hai. Dropshipping ke liye aap kitne taiyar hain. Advantage or disdvantage har business me hote hai. Lekin aap iske liye kitne taiyar hai ye aapko tay karna hai. Disadvantage batane ka matlab yahan ye hai ki drop shipping first thought me bahut hi saral or moneymaking method lagta hai. Jabki aisa nahi hai. Advantage or disadvantage dono janane ke baad aapko ye decide karna hai ki kya drop shipping aapke business goal, vision or product niche se match karega ya nahi. Drop shipping ke baare me hone wali kuch galatfahmiyo ke sath aayiye kuch aise reasons analys karte jiske karan jyadatar drop shipper fail hote hain.

Комментариев нет:

Отправить комментарий